HeRO'

(Sahil)

"Mera Jeevan"

Leave a Comment

 "Mera Jeevan"


Nikla tha pakadne waqt ko,ye kisne mujhe pakad liya,ye tanhai ye ruswai,mujhe khamoshi ne pakad liya.

Badal gaya najariya duniya ko dekhne ka,aaya tha badalne mai khud badal gaya,rah gaye arman dil ke dil me,man ka toofan shaayad ab so gaya.

Har shaksh ko benakab karti ye meri nigahe,kya karne aayi thi kya kar rahi hai,jinka tha sahara shaayad wo bhi besahara hai,dhu-dhu mere armano ki chita jal rahi hai.

Kahte hai her ek subah naya sandesh laati hai,per din kaise gujrega hame ye chinta satati hai,ek-ek pal kaatna bhi mushkil hota hai,wah re kismat tu bhi kya-kya karwati hai.

Thanks All

JORDANN
Next PostNewer Post Previous PostOlder Post Home

0 comments:

Post a Comment